Saaib bin yazeed RA beyan krty hn k Jumah k din Doosri Azan ka hukm Hazrat Usman RA ne deya jab ke Ahle Masjid ki tadad boht brh chuki thi. [Bukhari] Wishing u a blissful day, today and always. www.noorehidayat.org

Hazrat Abu Hraira se rwayt he k Rasulullah SAWW ne frmaya: Jo shksh b mujh pr salam bejhta he Allah SWT meri rooh ko mujh pr louta dety he yhan tk k me is k salam ka jawab deta hoon. [Riaz us Saliheen 1403, Abu Daud Sahih Snd k Saath] Have a peaceful day. www.noorehidayat.org

Hazrat Ans Bin Malik RA ka beyan he k Nabi Karim SAWW frmaya krty thy k meri tmam ummat gumrah na ho gi agar tum ko meri ummat me ikhtlaf nzr aaye to bari jamat ki perwi krna. [Ibn e Majah 3944 Fitny ke beyan me] www.noorehidayat.org

Hazrat Abdullah bin Umar rawayt krty he k Nabi Karim SAWW?ne frmaya he Meri Ummat Gumrahi pr jama na ho gi aur Jamat pr Allah ka haath he jo Jamat se alag huwa wo dozekh ki trf alag howa. [Tirmidhi J 2 H 32 Fitnun k beyan me, Mishkat J 1 H 162] Have a successful day today & always. www.noorehidayat.org

Hazrat Abu Hraira se rawayt he k Rasulullah SAWW ne kaha: Jb koi insaan mr jata he to is k sary amal mnqatah ho jaty hn mgr 3: 1. Sadqah Jaria 2. Wo ilm jis se faidah uthaya ja raha ho 3. Naik larka (aulad) jo is k leye duaa krta ho. Riaz us Saliheen, Muslim www.noorehidayat.org

Nabi karim SAWW ne frmaya: Anqreeb tum mery bad skht Ikhtalafat dekho ge, pus tum MERI aur mery HIDAYAT YAFTA KHULFA KI SUNNAT ko lazam pkr lena, Un k treeke ko dantun se pukr lena. [Abu Daud, Tirmidhi, Ibn e Majah] Wishing u a blissful day, today and always. www.noorehidayat.org

Hazrat Aous bin Aous RA se rawayt he k Rasulullah SAWW ne frmaya Tumhare sb se fazilt wale dinu mn Jumah ka din he, pus is din mujh pr zeyada Drud prho, pus tumhara Drud mujh pr paish keya jata he, Sahabah ne kaha Ya Rasulullah SAWW kis trah hmara Drud aap pr pesh keya jay ga k aap ka jism bosidah ho chuka ho ga, Aap SAWW ne Irshad frmaya beshk Allah ne zameen pr Ambeya k jismun ko hram kr deya. [Riaz us Saliheen, Abu Daud] www.noorehidayat.org

Hazrat Abdullah bin Umr RA se rwayt he k mn ne Hzrat Umar RA ko jb b kisi cheez k bary mn is trah kehty suna k mera kheyal is k mtlaq ye he to wo isi trah hota jesa k apna kheyal zahir frmaty. Riaz us Saliheen 1511, Bukhari www.noorehidayat.org

Hazrat Zaid Bin Aslam rawayt krte he k me ne Hazrat Umar RA ko ye frmaty suna k hum is me se koi cheez nain chorain ge jo Rasullullah SAWW k zamany me keya krty thy. [Sunnan Abu Daoud] May Allah SWT Shower His Countless Blessings Upon U & Family. www.noorehidayat.org

Hazrat Umro bin Aas RA se rawayt he k jb tum mujhy dfn kr chuko to meri qbr k gird itni dair thehro jitni dair mn aik ont zibah kr k us ka ghosht taqseem keya jata he, ta k mn tum se uns hasal krun aur jaan lun k Allah k qaasdun ko keya jawab dun. Riaz us Saliheen, Muslim www.noorehidayat.org